bazm-e-tarab waqt-e-aish saqi o naql o sharab
koi ise kuchh kaho hum to samajhte hain KHwab
majma-e-KHuban wale zamzama-e-chang wale
koi ise kuchh kaho hum to samajhte hain KHwab
sehn-e-chaman husn-e-gul abr-o-hawa sharb-e-mul
koi ise kuchh kaho hum to samajhte hain KHwab
ishrat-e-subh-e-bahaar sair-e-gul-o-lala-zar
koi ise kuchh kaho hum to samajhte hain KHwab
raqs-e-but-e-ghuncha-lab kasrat-e-aish-o-tarab
koi ise kuchh kaho hum to samajhte hain KHwab
ishq ke ijz-o-niyaz husn ke andaz-o-naz
koi ise kuchh kaho hum to samajhte hain KHwab
masti-e-mai-KHana-ha gardish-e-paimana-ha
koi ise kuchh kaho hum to samajhte hain KHwab
shadi-e-wasl-e-butan sohbat-e-mah-talatan
koi ise kuchh kaho hum to samajhte hain KHwab
ghalghal-e-kos-nashat KHush-dili o imbisat
koi ise kuchh kaho hum to samajhte hain KHwab
sarwat-e-mal-o-manal hashmat-o-jah-o-jalal
koi ise kuchh kaho hum to samajhte hain KHwab
qasr-o-mahl dil-pazir zinat-o-zeb ai 'nazir'
koi ise kuchh kaho hum to samajhte hain KHwab
Ghazal
Bazm-e-tarab waqt-e-aish saqi o naql o sharab
Nazeer Akbarabadi