bazm-e-surud-e-KHuban mein go mardnagin shahin bajin
sath faqir ki Dholak ke par Dham-Dhamyan rangin bajin
nala-kashi se raat jo gulshan rashk-e-bazm-e-ishrat tha
minqaren murghan-e-chaman ki subh talak jun bin bajin
tujh se na kahta tha main zahid mai-KHane ki rah na chal
aaKHir tujh par raste hi mein taliyan o be-din bajin
main jo nashe mein raat hua ghaTpaT us mashuq ki chhati sath
pazeben panw ki us ke kya hi ba-sad tamkin bajin
shama rahi shab jab tak jalti mujh ko na aai nind zara
jhanjhen parwane ke paron ki bas ki sar-e-baalin bajin
balbe mizaj-e-nazuk tera nind uchaT gai us gul ki
baaliyan patton se jo ulajh kar raat sar-e-baalin bajin
wada kar ke jab wo na aaya sair-e-chaman ko dil ne kaha
raat gai chal bagh se ab ghaDiyan to kai ghamgin bajin
ji ka kuDhana mere tha manzur magar ghaDyalon ki
wasl ki shab jo ta-ba-sahar ghaDyalen be-ain bajin
DeDh pahar Thahrunga ye kah ki yar mere ghar aaya tha
par ghabra ke jaane ko uTTha junhi pahar par tin bajin
bang-e-hamir se kam wo na samjha bas ki nafis-mizaj tha yar
naqusen but-KHanon mein har chand ba-sad tazin bajin
aae bahtari ho ke malaek mar jo gaya aashiq tera
naubaten kya kya shadi ki marqad mein dam-e-talqin bajin
wasl ki shab aaKHir hone ka 'mushafi' dhaDka kya main kahun
ji hi gaya bas tan se nikal jab tin pahar par tin bajin
Ghazal
Bazm-e-surud-e-KHuban mein go mardnagin shahin bajin
Mushafi Ghulam Hamdani

