bas ek nigah-e-karam hai kafi agar unhen pesh-o-pas nahin hai
zahe tamanna ki meri fitrat asir-e-hirs-o-hawas nahin hai
nazar se sayyaad dur ho ja yahan tera mujh pe bas nahin hai
chaman ko barbaad karne wale ye aashiyan hai qafas nahin hai
kisi ke jalwe taDap rahe hain hudud-e-hosh-o-KHirad se aage
hudud-e-hosh-o-KHirad se aage nigah ki dastaras nahin hai
jahan ki nairangiyon se yaksar badal gai aashiyan ki surat
qafas samajhti hain jin ko nazren wo dar-haqiqat qafas nahin hai
kahan ke nale kahan ki aahen jami hain un ki taraf nigahen
kuchh is qadar mahw-e-yaad hun main ki fursat-e-yak-nafas nahin hai
qusur hai ishrat-e-guzishta ka husn-e-tasir allah allah
wahi fazaen wahi hawaen chaman se kuchh kam qafas nahin hai
kisi ki be-e'tinaiyon ne badal hi Dala nizam-e-gulshan
jo baat pahle bahaar mein thi wo baat ab ke baras nahin hai
ye bu-e-sumbul ye KHanda-e-gul aur aah ye dukh bhari sadaen
qafas ke andar chaman hai shayad chaman ke andar qafas nahin hai
na hosh-e-KHalwat na fikr-e-mahfil ayan ho ab kis pe haalat-e-dil
main aap hi apna ham-nafas hun mera koi ham-nafas nahin hai
karen bhi kya shikwa-e-zamana kahen bhi kya dard ka fasana
jahan mein hain lakh dushman-e-jaan koi masiha-nafas nahin hai
suni hain ahl-e-junun ne aksar KHamoshi-e-marg ki sadaen
suna ye tha karwan-e-hasti rahin-e-bang-e-jaras nahin hai
chaman ki aazadiyan moaKHKHar tasawwur-e-ashiyan muqaddam
gham-e-asiri hai na-mukammal agar gham-e-KHar-o-KHas nahin hai
na kar mujhe sharmsar naseh main dil se majbur hun ki jis ka
hai yun to kaun-o-makan pe qabu magar mohabbat pe bas nahin hai
kahan wo ummid-e-amad-amad kahan ye ifa-e-ahd-e-farda
jab e'tibar-e-nazar na tha kuchh ab e'tibar-e-nafas nahin hai
wahi hain naghme wahi hain nale sun ai mujhe bhul jaane wale
teri samaat se dur hain ye jabhi to nalon mein ras nahin hai
'shakil' duniya mein jis ko dekha kuchh us ki duniya hi aur dekhi
hazar naqqad-e-zindagi hain magar koi nukta-ras nahin hai
Ghazal
Bas ek nigah-e-karam hai kafi agar unhen pesh-o-pas nahin hai
Shakeel Badayuni