barsat ka maza tere gesu dikha gae
aks aasman par jo paDa abr chha gae
aae kabhi to saikDon baaten suna gae
qurban aise aane ke kya aae kya gae
sun pai meri aabla-pai ki jab KHabar
chaaron taraf wo rah mein kanTe bichha gae
hum wo nahin sunen jo burai huzur ki
ye aap the jo ghair ki baaton mein aa gae
main ne jo taKHliya mein kaha haal-e-dil kabhi
munh se na kuchh jawab diya muskura gae
Ghazal
Barsat ka maza tere gesu dikha gae
Lala Madhav Ram Jauhar