bante hi shahr ka ye dekhiye viran hona
aankh khulte hi mera dahr mein giryan hona
dil ki mere jo koi shomi-e-qismat dekhe
bawar aa jae gulistan ka bayaban hona
chashm-o-abru ke liye ashk hain saz-o-naghma
mera girya meri aankhon ka ghazal-KHwan hona
zaKHm hain lala-o-gul partaw-e-sehn-e-gulshan
dekhiye dil ka mere rashk-e-gulistan hona
dasht-e-paimai se be-zar tamannaen hain
bar hai un ko mere qalb ka mehman hona
in mein kya farq hai ab is ka bhi ehsas nahin
dard aur dil ka zara dekhiye yaksan hona
ab nazar aate ho masjid mein jabab-e-'mehdi'
sheb mein tum ko mubarak ho musalman hona
Ghazal
Bante hi shahr ka ye dekhiye viran hona
S A Mehdi