banda-parwar jo na pachhtaiyega
banda-KHana pe kabhi aaiyega
yaad kijega mohabbat agli
ghair ke milne se sharmaiyega
bosa dijega gale lag lag kar
zyaada aur mujh ko na bakwaiyega
mere ghammaz ko apne dar se
dhakke yakbar to diwaiyega
husn ke sadqe meri KHatir se
kadar-e-dil zara dhulwaiyega
sitam-o-jaur-o-jafa ka shewa
chhoD dijega na bal khaiyega
taqat-o-sabr tahammul mera
le ke kuchh aur hi farmaiyega
zindagi hijr mein hona malum
ji mein aata hai ki mar jaiyega
zulf mein dil ko phansa kar mere
aap shane se na suljhaiyega
said matlub ho to banda ka sar
apne fitrak se laTkaiyega
arz 'afridi' ki kije manzur
aap tashrif idhar laiyega
gar na manoge meri baat suno
phir na mere tain samjhaiyega
yan pe mauquf hai kya 'afridi'
munh na phir hashr ko dikhlaiyega

Ghazal
Banda-parwar jo na pachhtaiyega
Qasim Ali Khan Afridi