band kar ke khiDkiyan yun raat ko bahar na dekh
Dubti aankhon se apne shahr ka manzar na dekh
main ne patthar sah liye lekin sada qatil hui
KHud ko lafzon se bacha girte hue patthar na dekh
aisa hangama ki aawaz-e-nafas bhi kho gai
zindagi ki baat kar ye arsa-e-mahshar na dekh
tu ne jo parchhaiyan chhoDin wo sahra ban gain
ai nigar-e-waqt ab pichhe kabhi muD kar na dekh
kya pata zanjir mein Dhal jae chadar ki shikan
ye safar ka waqt hai ab jaanib-e-bistar na dekh
KHak o KHun miras teri KHak o KHun tera nasib
is ziyan-KHane mein apne panw ka chakkar na dekh
Ghazal
Band kar ke khiDkiyan yun raat ko bahar na dekh
Shamim Hanafi