ban ke duniya ka tamasha mo'atabar ho jaenge
sab ko hansta dekh kar hum chashm-e-tar ho jaenge
mujh ko qadron ke badalne se ye hoga faeda
mere jitne aib hain sare hunar ho jaenge
aaj apne jism ko tu jis qadar chahe chhupa
rafta rafta tere kapDe muKHtasar ho jaenge
rafta rafta un se uD jaegi yakjai ki bu
aaj jo ghar mein wo sab diwar-o-dar ho jaenge
aate jate rahrawon ko dekhta hun is tarah
rah chalte log jaise ham-safar ho jaenge
aadmi KHud apne andar karbala ban jaega
sare jazbe KHair ke nezon pe sar ho jaenge
garmi-e-raftar se wo aag hai zer-e-qadam
mere naqsh-e-pa charagh-e-rahguzar ho jaenge
kaise qisse the ki chhiD jaen to uD jati thi nind
kya KHabar thi wo bhi harf-e-muKHtasar ho jaenge
kya kahen aise taqaze hain mohabbat ke to hum
apni betabi se hum raqs-e-sharar ho jaenge
ek saat aisi aaegi ki ye wasl o firaq
mere rang-e-be-dili se yak-digar ho jaenge
kaKH-o-ku-e-ahl-e-daulat ki bina hai ret par
ek dhamake se ye sab zer-o-zabar ho jaenge
ye ajab shab hai unhen sone na do warna 'salim'
KHwab bachchon ke liye wahshat-asar ho jaenge

Ghazal
Ban ke duniya ka tamasha moatabar ho jaenge
Saleem Ahmed