ban gae dil ke fasane kya kya
khul gae raaz na jaane kya kya
kaun tha mere alawa us ka
us ne DhunDe the Thikane kya kya
rahmat-e-ishq ne baKHshe mujh ko
us ki yaadon ke KHazane kya kya
aaj rah rah ke mujhe yaad aae
us ke andaz purane kya kya
raqs karti hui yaaden un ki
aur dil gae tarane kya kya
tera andaz nirala sab se
tir to ek nishane kya kya
aarzu meri wahi hai lekin
us ko aate hain bahane kya kya
raaz-e-dil lakh chhupaya lekin
kah diya us ki ada ne kya kya
dil ne to dil hi ki mani 'mita'
aql deti rahi tane kya kya
Ghazal
Ban gae dil ke fasane kya kya
Ameeta Parsuram ‘Meeta’