baKHt se koi shikayat hai na aflak se hai
yahi kya kam hai ki nisbat mujhe is KHak se hai
KHwab mein bhi tujhe bhulun to rawa rakh mujh se
wo rawayya jo hawa ka KHas-o-KHashak se hai
bazm-e-anjum mein qaba KHak ki pahni main ne
aur meri sari fazilat isi poshak se hai
itni raushan hai teri subh ki hota hai guman
ye ujala to kisi dida-e-namnak se hai
hath to kaT diye kuza-garon ke hum ne
moajize ki wahi ummid magar chaak se hai
Ghazal
BaKHt se koi shikayat hai na aflak se hai
Parveen Shakir