bahut tha KHauf jis ka phir wahi qissa nikal aaya
mere dukh se kisi aawaz ka rishta nikal aaya
wo sar se panw tak jaise sulagti sham ka manzar
ye kis jadu ki basti mein dil-e-tanha nikal aaya
jin aankhon ki udasi mein bayaban sans lete hain
unhin ki yaad mein naghmon ka ye dariya nikal aaya
sulagte dil ke aangan mein hui KHwabon ki phir barish
kahin konpal mahak uTThi kahin patta nikal aaya
pighal uThta hai ek ek lafz jin honTon ki hiddat se
main un ki aanch pi kar aur bhi sachcha nikal aaya
guman tha zindagi be-samt o be-manzil bayaban hai
magar ek nam par phulon-bhara rasta nikal aaya
Ghazal
Bahut tha KHauf jis ka phir wahi qissa nikal aaya
Bashar Nawaz