bahut raha hai kabhi lutf-e-yar hum par bhi
guzar chuki hai ye fasl-e-bahaar hum par bhi
urus-e-dahr ko aaya tha pyar hum par bhi
ye beswa thi kisi shab nisar hum par bhi
biTha chuka hai zamana hamein bhi masnad par
hua kiye hain jawahir nisar hum par bhi
adu ko bhi jo banaya hai tum ne mahram-e-raaz
to faKHr kya jo hua e'tibar hum par bhi
KHata kisi ki ho lekin khuli jo un ki zaban
to ho hi jate hain do ek war hum par bhi
hum aise rind magar ye zamana hai wo ghazab
ki Dal hi diya duniya ka bar hum par bhi
hamein bhi aatish-e-ulfat jala chuki 'akbar'
haram ho gai dozaKH ki nar hum par bhi
Ghazal
Bahut raha hai kabhi lutf-e-yar hum par bhi
Akbar Allahabadi