اردو हिंदी
Bahut qarine ki zindagi thi ajab qayamat mein aa basa hun | Shaahi Shayari
bahut qarine ki zindagi thi ajab qayamat mein aa basa hun

Ghazal

Bahut qarine ki zindagi thi ajab qayamat mein aa basa hun

Azm Bahzad

;

bahut qarine ki zindagi thi ajab qayamat mein aa basa hun
sukun ki subh chahta tha so sham-e-wahshat mein aa basa hun

main apni angusht kaTta tha ki bich mein nind aa na jae
agarche sab KHwab ka safar tha magar haqiqat mein aa basa hun

visal-e-farda ki justuju mein nashat-e-imroz ghaT raha hai
ye kis talab mein ghira hua hun ye kis aziyyat mein aa basa hun

yahan to be-fursati ke hathon wo paemali hui hai meri
ki jis se milne ki aarzu thi usi ki furqat mein aa basa hun

kahan ki duniya kahan ki sansen ki sab fareb-e-hawas nikla
jaza ki muddat samajh raha tha saza ki mohlat mein aa basa hun

sawal karne ke hausle se jawab dene ke faisle tak
jo waqfa-e-sabr aa gaya tha usi ki lazzat mein aa basa hun

ye un se kahna jo meri chup se hazar baaten bana rahe the
main apne shoale ko pa chuka hun main apni shiddat mein aa basa hun