bahaaron ki tarah dar bolta hai
koi aa jae to ghar bolta hai
kabhi deta hai nama-bar bhi dastak
kabhi chhat par kabutar bolta hai
ye dariya peD-paude aur jharne
har ek wadi ka manzar bolta hai
tarasha hai use main ne hunar se
mere hathon ka patthar bolta hai
adab wale suKHan kahte hain us ko
ye jadu sar pe chaDh kar bolta hai
tapaya hai bahut mehnat se us ko
ye sona bhi nikhar kar bolta hai
jahan se hath KHali jaenge sab
ye ek jumla sikandar bolta hai
sifarish ka bharosa bhi nahin hai
magar paisa barabar bolta hai
'nazir-e-merThi' ho baat kaDwi
to gunga bhi palaT kar bolta hai
Ghazal
Bahaaron ki tarah dar bolta hai
Nazeer Meeruthy