bahaar ki dhup mein nazare hain us kinare
safed pani ke sabz dhaare hain us kinare
wahan ki subhon ka rang hai faKHtaon jaisa
hameshgi ke nishan sare hain us kinare
faza farishton ke nur se jagmaga rahi hai
dhule hue aasaman sare hain us kinare
wahan ki raaton mein KHwab hain kimiya-garon ke
rawan meri ruh ke sitare hain us kinare
fazaon mein kashf ke diye jhilmila rahe hain
hawaon mein ghaib ke ishaare hain us kinare
wahan hai faizan aasman ki ziyafaton ka
falak ne neamat ke KHwan utare hain us kinare
wahan hain angur ke chaman dewiyon ke darshan
bahisht ke ehtimam sare hain us kinare
kisan dil-shad khet aabaad hain wahan ke
safed bheDen hain sabz chaare hain us kinare
yahan ye KHamosh matami sogwar sahil
wahan gaDariyon ke git pyare hain us kinare

Ghazal
Bahaar ki dhup mein nazare hain us kinare
Shabbir Shahid