اردو हिंदी
Bagule uTh chale the aur na thi kuchh der aandhi mein | Shaahi Shayari
bagule uTh chale the aur na thi kuchh der aandhi mein

Ghazal

Bagule uTh chale the aur na thi kuchh der aandhi mein

Nazeer Akbarabadi

;

bagule uTh chale the aur na thi kuchh der aandhi mein
ki hum se yar se aa ho gai muDbheD aandhi mein

jata kar KHak ka uDna dikha kar gard ka chakkar
wahin hum le chale us gul-badan ko gher aandhi mein

raqibon ne jo dekha ye uDa kar le chala us ko
pukare hae ye kaisa hua andher aandhi mein

wo dauDe to bahut lekin unhen aandhi mein kya sujhe
zi-bas hum us pari ko lae ghar mein gher aandhi mein

chaDha koThe pe darwaze ko mund aur khol kar parde
laga chhati liye bose kya hat pher aandhi mein

wo koThe ka makan wo kali aandhi wo sanam gul-ru
ajab rangon ki Thahri aa ke hera-pher aandhi mein

uTha kar taq se shisha laga chhati se dilbar ko
nashon mein aish ke kya kya kiya dil sair aandhi mein

kabhi bosa kabhi angiya pe hath aur gah sine par
lage luTne maze ke sangtare aur bair aandhi mein

maze aish o tarab lazzat lage yun TuT kar girne
ki jaise TuT kar mewon ke howen Dher aandhi mein

raqibon ki main ab KHwari KHarabi kya likhun bare
bhari nathnon mein un ke KHak das das ser aandhi mein

kisi ki uD gai pagDi kisi ka phaT gaya daman
gai Dhaal aur kisi ki gir paDi shamshir aandhi mein

'nazir' aandhi mein kahte hain ki aksar dew hote hain
miyan hum ko to le jati hain pariyan gher aandhi mein