baghaur dekho to zaKHmon ka ek chaman sa hai
sukut tishna tamannaon ka kafan sa hai
kabhi khil uThte hain yaadon ke bhi kanwal warna
bahaar mein bhi ye dil ek udas ban sa hai
ubhar raha hai jo naghma bahaar ke dil se
gudaz-o-soz kuchh us mein tere badan sa hai
chaman se dur chaman ke har ek KHayal se dur
khula hua mari aankhon mein ek chaman sa hai
nazar nazar mein ghulawaT hai bad-gumani ki
hujum-e-mah mein khilta hua gahan sa hai
hai kaba kitne saman-posh nazninon ka
ye dil jo kahne ko yun chaak-e-pairahan sa hai
mera junun hai adab-ashna abhi warna
haram ke parde mein bhi ek barhaman sa hai

Ghazal
Baghaur dekho to zaKHmon ka ek chaman sa hai
Safdar Meer