baDi haweli ke taqsim jab ujale hue
jo be-charagh the wo bhi charagh wale hue
na aainon ko KHabar thi na dast-e-wahshat ko
kahan girenge ye patthar jo hain uchhaale hue
jo taKHt-o-taj pe tanqid karte phirte hain
ye sare log hain darbar se nikale hue
phir aaj bhuk hamara shikar kar legi
ki raat ho gai dariya mein jal Dale hue
unhen KHabar hi nahin sar nahin hain shanon par
jo apne hathon mein dastar hain sambhaale hue
wo log bhi to kinaron pe aa ke Dub gae
jo kah rahe the samundar hain sab khangale hue
kisi ke aane pe ab taliyon ka shor kahan
wo haar sukh chuke hain gale mein Dale hue
Ghazal
BaDi haweli ke taqsim jab ujale hue
Tariq Qamar