baDe tahammul se rafta rafta nikalna hai
bacha hai jo tujh mein mera hissa nikalna hai
ye ruh barson se dafn hai tum madad karoge
badan ke malbe se is ko zinda nikalna hai
nazar mein rakhna kahin koi gham-shanas gahak
mujhe suKHan bechna hai KHarcha nikalna hai
nikal laya hun ek pinjre se ek parinda
ab is parinde ke dil se pinjra nikalna hai
ye tis barson se kuchh baras pichhe chal rahi hai
mujhe ghaDi ka KHarab purza nikalna hai
KHayal hai KHandan ko ittilaa de dun
jo kaT gaya us shajar ka shajara nikalna hai
main ek kirdar se baDa tang hun qalamkar
mujhe kahani mein Dal ghussa nikalna hai
Ghazal
BaDe tahammul se rafta rafta nikalna hai
Umair Najmi