baDe ghazab ka hai yaro baDe azab ka zaKHm
agar shabab hi Thahra mere shabab ka zaKHm
zara si baat thi kuchh aasman na phaT paDta
magar hara hai abhi tak tere jawab ka zaKHm
zamin ki kokh hi zaKHmi nahin andheron se
hai aasman ke bhi sine pe aaftab ka zaKHm
main sangsar jo hota to phir bhi KHush rahta
khaTak raha hai magar dil mein ek gulab ka zaKHm
usi ki chaaragari mein guzar gai 'asrar'
tamam umr ko kafi tha ek shabab ka zaKHm
Ghazal
BaDe ghazab ka hai yaro baDe azab ka zaKHm
Ibn-e-Safi