badan mein jaise lahu taziyana ho gaya hai
use gale se lagae zamana ho gaya hai
chamak raha hai ufuq tak ghubar-e-tira-shbi
koi charagh safar par rawana ho gaya hai
hamein to KHair bikharna hi tha kabhi na kabhi
hawa-e-taza ka jhonka bahana ho gaya hai
gharaz ki puchhte kya ho maal-e-soKHtagan
tamam jalna jalana fasana ho gaya hai
faza-e-shauq mein us ki bisat hi kya thi
parind apne paron ka nishana ho gaya hai
kisi ne dekhe hain patjhaD mein phul khilte hue
dil apni KHush-nazari mein diwana ho gaya hai
Ghazal
Badan mein jaise lahu taziyana ho gaya hai
Irfan Siddiqi