bad-qismati ko ye bhi gawara na ho saka
hum jis pe mar miTe wo hamara na ho saka
rah to gai fareb-e-masiha ki aabru
har chand gham ke maron ka chaara na ho saka
KHush hun ki baat shorish-e-tufan ki rah gai
achchha hua nasib kinara na ho saka
be-chaargi pe chaaragari ki hain tohmaten
achchha kisi se ishq ka mara na ho saka
kuchh ishq aisi baKHsh gaya be-niyaziyan
dil ko kisi ka lutf gawara na ho saka
fart-e-KHushi mein aankh se aansu nikal paDe
jab un ka iltifat gawara na ho saka
ulTi to thi naqab kisi ne magar 'shakeb'
dawon ke bawajud nazara na ho saka

Ghazal
Bad-qismati ko ye bhi gawara na ho saka
Shakeb Jalali