baat kuchh hum se ban na aai aaj
bol kar hum ne munh ki khai aaj
chup par apni bharam the kya kya kuchh
baat bigDi bani banai aaj
shikwa karne ki KHu na thi apni
par tabiat hi kuchh bhar aai aaj
bazm saqi ne di ulaT sari
KHub bhar bhar ke KHum lunDhai aaj
masiyat par hai der se ya rab
nafs aur sharaa mein laDai aaj
ghaalib aata hai nafs-e-dun ya shara
dekhni hai teri KHudai aaj
chor hai dil mein kuchh na kuchh yaro
nind phir raat bhar na aai aaj
zad se ulfat ki bach ke chalna tha
muft 'haali' ne choT khai aaj
Ghazal
Baat kuchh humse ban na aai aaj
Altaf Hussain Hali