baat karne mein to jati hai mulaqat ki raat
kya bari baat hai rah jao yahin raat ki raat
zarre afshan ke nahin kirmak-e-shab-tab se kam
hai wo zulf-e-araq-alud ki barsat ki raat
zahid us zulf phans jae to itna puchhun
kahiye kis tarah kaTi qibla-e-hajat ki raat
sham se subh talak chalte hain jam-e-mai-e-aish
KHub hoti hai basar ahl-e-KHarabaat ki raat
wasl chaha shab-e-mearaj to ye uzr kiya
hai ye allah o payambar ki mulaqat ki raat
hum musafir hain ye duniya hai haqiqat mein sara
hai tawaqquf hamein is ja to faqat raat ki raat
chal ke ab so raho baaten na banao sahib
wasl ki shab hai nahin harf-e-hikayat ki raat
lailatul-qadr hai waslat ki dua mang 'amir'
is se behtar hai kahan koi munajat ki raat
Ghazal
Baat karne mein to jati hai mulaqat ki raat
Ameer Minai