baat baDhti gai aage meri nadani se
kitna arzan hua main apni farawani se
KHak hi KHak nazar aai mujhe chaaron taraf
jal gae chand sitare meri tabani se
be-tahasha jiye hum log hamein hosh nahin
waqt aaram se guzra ki pareshani se
ab mere gird Thaharti nahin diwar koi
bandishen haar gain be-sar-o-samani se
aaega aisa bhi ek moD safar mein 'rahi'
gard bhi meri na paoge tum aasani se
Ghazal
Baat baDhti gai aage meri nadani se
Ghulam Murtaza Rahi