baqi jahan mein qais na farhad rah gaya
afsana aashiqon ka faqat yaad rah gaya
ye saKHt-jaan to qatl se nashad rah gaya
KHanjar chala to bazu-e-jallad rah gaya
pabandiyon ne ishq ki bekas rakha mujhe
main sau asiriyon mein bhi aazad rah gaya
chashm-e-sanam ne yun to bigaDe hazar ghar
ek kaba chand roz ko aabaad rah gaya
mahshar mein ja-e-shikwa kiya shukr yar ka
jo bhulna tha mujh ko wahi yaad rah gaya
un ki to ban paDi ki lagi jaan muft hath
teri girah mein kya dil-e-nashad rah gaya
pur-nur ho rahega ye zulmat-kada agar
dil mein buton ka shauq-e-KHuda-dad rah gaya
yun aankh un ki kar ke ishaara palaT gai
goya ki lab se ho ke kuchh irshad rah gaya
naseh ka ji chala tha hamari tarah magar
ulfat ki dekh dekh ke uftad rah gaya
hain tere dil mein sab ke Thikane bure bhale
main KHanaman-KHarab hi barbaad rah gaya
wo din gae ki thi mere sine mein kuchh KHarash
ab dil kahan hai dil ka nishan yaad rah gaya
surat ko teri dekh ke khinchti hai jaan-e-KHalq
dil apna tham tham ke bahzad rah gaya
ai 'dagh' dil hi dil mein ghule zabt-e-ishq se
afsos shauq-e-nal-o-fariyaad rah gaya
Ghazal
Baqi jahan mein qais na farhad rah gaya
Dagh Dehlvi