'baqar' nishan-e-gham-o-ranj-o-alam to ho
chhoDo kuchh aur baat karo dard kam to ho
ai kushta-e-KHulus-e-mohabbat ba-kar-bash
lab par shaguftagi na sahi aankh nam to ho
har dam rahe hadis-e-mani se hum ko kaam
zikr-e-KHuda agar nahin zikr-e-sanam to ho
kuchh to pia-e-shikast-e-sukut-e-shab-e-alam
girya sahi fughan sahi kuchh dam-ba-dam to ho
chashm-e-ghazal-o-husn-e-ghazal ka bayan rahe
kuchh aisi baat jo pai-e-taskin-e-gham to ho
qanun-e-bagh-bani-e-sahra to likh chuke
unwan-e-zist bhi kisi surat raqam to ho
ek umr tu ne TuTe pyalon pe kaT di
'baqar' piye sharab koi jam-e-jam to ho
Ghazal
Baqar nishan-e-gham-o-ranj-o-alam to ho
Sajjad Baqar Rizvi