اردو हिंदी
Bagh ek din ka hai so raat nahin aane ki | Shaahi Shayari
bagh ek din ka hai so raat nahin aane ki

Ghazal

Bagh ek din ka hai so raat nahin aane ki

Iliyas Babar Aawan

;

bagh ek din ka hai so raat nahin aane ki
wo pari phir se mere hat nahin aane ki

ab wo laDki nahin aane ki mere college mein
ab ke multan se saughat nahin aane ki

tum chali jao ye patthar nahin pahle jaisa
aankh se ju-e-munajat nahin aane ki

ab jo ye wasl hai is wasl ko be-kar samajh
hum pe rangini-e-haalat nahin aane ki

dekh lo khol ke khiDki ki zara der hain hum
dusri bar ye baraat nahin aane ki

ab tere baad faqat aab hi utrega yahan
ab ke barsat mein barsat nahin aane ki