baad-e-sarsar bhi qurbat ki chalti rahe din nikalta rahe sham Dhalti rahe
zulf hathon se tere sanwarti rahe din nikalta rahe sham Dhalti rahe
teri chahat gulabon ki KHushbu bane mere diwar-o-dar mein kuchh aisi base
teri mahkar kamre se aati rahe din nikalta rahe sham Dhalti rahe
tere ehsas ki tan pe chadar liye tere hamrah raqsan mein aise rahun
pyar ki mujh pe badli barasti rahe din nikalta rahe sham Dhalti rahe
ruh se ruh ka rabt aisa bane jaise hathon mein tere mera hath ho
phir mulaqat KHwabon mein hoti rahe din nikalta rahe sham Dhalti rahe
meri ghazlon mein tera hi mazmun ho meri nazmon mein to mujh se baaten kare
yun bayaz-e-tamanna bhi bharti rahe din nikalta rahe sham Dhalti rahe
pyar ke sat rangon ki qaus-e-quzah le ke aae 'sabila' wo milne kabhi
zindagi phir wahin ruk ke hansti rahe din nikalta rahe sham Dhalti rahe

Ghazal
Baad-e-sarsar bhi qurbat ki chalti rahe din nikalta rahe sham Dhalti rahe
Sabeela Inam Siddiqui