ba-qadr-e-paimana-e-taKHayyul surur har dil mein hai KHudi ka
agar na ho ye fareb-e-paiham to dam nikal jae aadmi ka
bas ek ehsas-e-na-rasai na josh is mein na hosh us ko
junun pe haalat rubudgi ki KHirad pe aalam ghunudgi ka
hai ruh tarikiyon mein hairan bujha hua hai charagh-e-manzil
kahin sar-e-rah ye musafir paTak na de bojh zindagi ka
KHuda ki rahmat pe bhul baiThun yahi na mani hai is ke waiz
wo abr ka muntazir khaDa ho makan jalta ho jab kisi ka
wo lakh jhukwa le sar ko mere magar ye dil ab nahin jhukega
ki kibriyai se bhi ziyaada mizaj nazuk hai bandagi ka
'jamil' hairat mein hai zamana mere taghazzul ki muflisi par
na jazba-e-ijtiba-e-rizwi na kaif 'parwez-shahidi' ka
Ghazal
Ba-qadr-e-paimana-e-taKHayyul surur har dil mein hai KHudi ka
Jameel Mazhari