اردو हिंदी
Ba-KHuda hain teri hindu bu-e-mai-KHwar aankhen | Shaahi Shayari
ba-KHuda hain teri hindu bu-e-mai-KHwar aankhen

Ghazal

Ba-KHuda hain teri hindu bu-e-mai-KHwar aankhen

Hatim Ali Mehr

;

ba-KHuda hain teri hindu bu-e-mai-KHwar aankhen
nashshe ki Dori nahin pahne hain zunnar aankhen

chashm-e-ahu se gharaz thi na mujhe nargis se
teri aankhon se jo miltin na ye do-chaar aankhen

chaar-chashm is liye kahta hai mujhe ek aalam
ki meri aankhon mein phirti hain teri yar aankhen

dekhte rahte hain hum rah tumhaari sahab
aap aate nahin aa jati hain har bar aankhen

pyar se main ne jo dekha to wo farmate hain
dekhiye dekhiye hoti hain gunahgar aankhen

chum lete hain wo aaine mein aankhen apni
lab masihai karenge ki hain bimar aankhen

aagara chhuT gaya 'mehr' to chunnar mein bhi
DhunDa karti hain wahi kucha-o-bazar aankhen