az-mehr ta-ba-zarra dil-o-dil hai aaina
tuti ko shash-jihat se muqabil hai aaina
hairat hujum-e-lazzat-e-ghaltani-e-tapish
simab-e-baalish o kamar-e-dil hai aaina
ghaflat ba-baal-e-jauhar-e-shamshir par-fishan
yan pusht-e-chashm-e-shoKHi-e-qatil hai aaina
hairat-nigah-e-barq-e-tamasha bahaar-e-shoKH
dar-parda-e-hawa par-e-bismil hai aaina
yan rah gae hain naKHun-e-tadbir TuT kar
jauhar-tilism-e-uqda-e-mushkil hai aaina
ham-zanu-e-tammul o ham-jalwa-gah-e-gul
aaina-band KHalwat-o-mahfil hai aaina
dil kar-gah-e-fikr o 'asad' be-nawa-e-dil
yan sang-e-astana-e-'bedil' hai aaina
Ghazal
Az-mehr ta-ba-zarra dil-o-dil hai aaina
Mirza Ghalib