awwal sin dil mera jo giraftar tha so hai
mere gale mein ishq ka zunnar tha so hai
ai shah-e-husn mujh kun tumhaari janab mein
muddat sin bandagi ka jo iqrar tha so hai
malum yun hua ki nasibon mein nahin shifa
shamshir-e-gham ka war jigar par tha so hai
jiyun ghuncha sair-e-bagh sin hota hun tang-dil
tujh bin meri nigah mein gul KHar tha so hai
sozan misal aankh mein silti hai har palak
teri birah ka KHar dil-azar tha so hai
ab lag gham-e-firaq judai ki raat mein
yaro rafiq-o-munis-o-gham-KHwar tha so hai
mat bujh soz-e-ishq sin farigh siraj kun
parwana-war jaan sin balhaar tha so hai
Ghazal
Awwal sin dil mera jo giraftar tha so hai
Siraj Aurangabadi

