aur khul ja ki maarif ki guzargahon mein
pech ai zulf-e-siyah-fam abhi baqi hain
ek subu aur ki lauh-e-dil-e-mai-noshan par
kuchh nuqush-e-sahar-o-sham abhi baqi hain
Thahar ai baad-e-sahar us gul-e-nau-rasta ke nam
aur bhi shauq ke paigham abhi baqi hain
ai harifan-e-subu gosh-bar-awaz raho
daman-e-wahi mein ilham abhi baqi hain
tul khinch ai shab-e-mai-KHana ki sab kar-e-siyah
ba-hama lazzat-e-iqdam abhi baqi hain
aur abhi raunda nahin ai kaf-e-pa-e-tahqiq
dil mein sau tarah ke auham abhi baqi hain
ai sahi qad teri nisbat se sab unchi qadren
bawajud-e-rawish-e-am abhi baqi hain
hum mein kal ke na sahi 'hafiz'-o-'KHayyam' 'zafar'
aaj ke 'hafiz'-o-'KHayyam' abhi baqi hain

Ghazal
Aur khul ja ki maarif ki guzargahon mein
Sirajuddin Zafar