'athar' tum ne ishq kiya kuchh tum bhi kaho kya haal hua
koi naya ehsas mila ya sab jaisa ahwal hua
ek safar hai wadi-e-jaan mein tere dard-e-hijr ke sath
tera dard-e-hijr jo baDh kar lazzat-e-kaif-e-visal hua
rah-e-wafa mein jaan dena hi pesh-rawon ka shewa tha
hum ne jab se jina sikha jina kar-e-misal hua
ishq fasana tha jab tak apne bhi bahut afsane the
ishq sadaqat hote hote kitna kam-ahwal hua
rah-e-wafa dushwar bahut thi tum kyun mere sath aae
phul sa chehra kumhlaya aur rang-e-hina pamal hua

Ghazal
Athar tumne ishq kiya kuchh tum bhi kaho kya haal hua
Athar Nafees