اردو हिंदी
Asnam-e-mal-o-zar ki parastish sikha gai | Shaahi Shayari
asnam-e-mal-o-zar ki parastish sikha gai

Ghazal

Asnam-e-mal-o-zar ki parastish sikha gai

Sahba Akhtar

;

asnam-e-mal-o-zar ki parastish sikha gai
duniya mujhe bhi aabid-e-duniya bana gai

wo sang-e-dil mazar-e-wafa par ba-nam-e-ishq
aai to mere nam ka patthar laga gai

mere liye hazar tabassum thi wo bahaar
jo aansuon ki rah pe mujh ko laga gai

gauhar-farosh shabnami palkon ki chhanw mein
kya aag thi jo ruh ke andar sama gai

mere suKHan ki dad bhi us ko hi dijiye
wo jis ki aarzu mujhe shaer bana gai

'sahba' wo raushni jo bahut mehrban thi
kyun mere raste mein andhere bichha gai