ashk pine ke liye KHak uDane ke liye
ab mere pas KHazana hai luTane ke liye
aisi dafa na laga jis mein zamanat mil jae
mere kirdar ko chun apne nishane ke liye
kin zaminon pe utaroge ab imdad ka qahr
kaun sa shahr ujaDoge basane ke liye
main ne hathon se bujhai hai dahakti hui aag
apne bachche ke khilaune ko bachane ke liye
ho gai hai meri ujDi hui duniya aabaad
main use DhunDh raha hun ye batane ke liye
nafraten bechne walon ki bhi majburi hai
mal to chahiye dukan chalane ke liye
ji to kahta hai ki bistar se na utrun kai roz
ghar mein saman to ho baiTh ke khane ke liye
Ghazal
Ashk pine ke liye KHak uDane ke liye
Shakeel Jamali