ashk mere hain magar dida-e-nam hai us ka
ye jo honTon pe tabassum hai karam hai us ka
an-kahi baat bhala likkhun to likkhun kaise
sade kaghaz pe koi raaz raqam hai us ka
fasle aise ki ek umr mein tai ho na saken
qurbaten aisi ki KHud mujh mein janam hai us ka
sang-o-ahan ka baDa shahr bhi virana lage
ye junun mera hai aur dasht-e-sitam hai us ka
dard ban kar mere sine mein paDa rahta hai
ye mera dil hai ki ek naqsh-e-qadam hai us ka?
ek tufan ki tarah kab se kinara-kash hai
phir bhi 'baqar' meri nazron mein bharam hai us ka
Ghazal
Ashk mere hain magar dida-e-nam hai us ka
Baqar Mehdi