ashk jab dida-e-tar se nikla
ek kanTa sa jigar se nikla
phir na main raat gae tak lauTa
Dubti sham jo ghar se nikla
ek mayyat ki tarah lagta tha
chand jab qaid-e-sahar se nikla
mujh ko manzil bhi na pahchan saki
main ki jab gard-e-safar se nikla
hae duniya ne use ashk kaha
KHun jo zaKHm-e-nazar se nikla
ek amawas ka nasiba hun main
aaj ye chand kidhar se nikla
jab uDa jaanib-e-manzil 'aKHtar'
ek shoala mere par se nikla
Ghazal
Ashk jab dida-e-tar se nikla
Akhtar Imam Rizvi