اردو हिंदी
Asar dekha dua jab raat-bhar ki | Shaahi Shayari
asar dekha dua jab raat-bhar ki

Ghazal

Asar dekha dua jab raat-bhar ki

Hamidullah Afsar

;

asar dekha dua jab raat-bhar ki
ziya kuchh kuchh hai taron mein sahar ki

hue ruKHsat jahan se subh hote
kahani hijr mein yun muKHtasar ki

taDap uTThe lahad mein sone wale
zamin ki samt yun tum ne nazar ki

sahar ko maut ki mangi duaen
dua maqbul hoti hai sahar ki

ye bijli hai ki ai abr-e-shab-e-hijr
hai dhajji ek daman-e-sahar ki