arz-e-hunar bhi wajh-e-shikayat ho gai
chhoTa sa munh tha mujh se baDi baat ho gai
dushnam ka jawab na sujha ba-juz-salam
zahir mere kalam ki auqat ho gai
dekha jo kha ke tir kamin-gah ki taraf
apne hi doston se mulaqat ho gai
ya zarbat-e-KHalil se but-KHana chiKH uTha
ya pattharon ko marifat-e-zat ho gai
yaran-e-be-bisat ki har bazi-e-hayat
khele baghair haar gae mat ho gai
be-razm din guzar liya ratjaga manao
ai ahl-e-bazm jag uTho raat ho gai
nikle jo mai-kade se to masjid tha har maqam
har gam par talafi-e-mafat ho gai
hadd-e-amal mein thi to amal thi yahi sharab
radd-e-amal bani to mukafat ho gai
ab shukr na-qubul hai shikwa fuzul hai
jaise bhi ho gai basar-auqat ho gai
wo KHush-nasib tum se mulaqat kyun kare
darban hi se jis ki mudaraat ho gai
har ek rahnuma se bichhaDna paDa mujhe
har moD par koi na koi ghat ho gai
yaron ki barhami pe hansi aa gai 'hafiz'
ye mujh se ek aur buri baat ho gai
Ghazal
Arz-e-hunar bhi wajh-e-shikayat ho gai
Hafeez Jalandhari