apni taswir ko aankhon se lagata kya hai
ek nazar meri taraf bhi tera jata kya hai
meri ruswai mein wo bhi hain barabar ke sharik
mere qisse mere yaron ko sunata kya hai
pas rah kar bhi na pahchan saka tu mujh ko
dur se dekh ke ab hath hilata kya hai
zehn ke pardon pe manzil ke hayule na bana
ghaur se dekhta ja rah mein aata kya hai
zaKHm-e-dil jurm nahin toD bhi de mohr-e-sukut
jo tujhe jaante hain un se chhupata kya hai
safar-e-shauq mein kyun kanpte hain panw tere
aankh rakhta hai to phir aankh churaata kya hai
umr bhar apne gareban se ulajhne wale
tu mujhe mere hi sae se Daraata kya hai
chandni dekh ke chehre ko chhupane wale
dhup mein baiTh ke ab baal sukhata kya hai
mar gae pyas ke mare to uTha abr-e-karam
bujh gai bazm to ab shama jalata kya hai
main tera kuchh bhi nahin hun magar itna to bata
dekh kar mujh ko tere zehn mein aata kya hai
tera ehsas zara sa teri hasti payab
to samundar ki tarah shor machata kya hai
tujh mein kas-bal hai to duniya ko baha kar le ja
chae ki pyali mein tufan uThata kya hai
teri aawaz ka jadu na chalega un par
jagne walon ko 'shahzad' jagata kya hai
Ghazal
Apni taswir ko aankhon se lagata kya hai
Shahzad Ahmad