apni ruswai tere nam ka charcha dekhun
ek zara sher kahun aur main kya kya dekhun
nind aa jae to kya mahfilen barpa dekhun
aankh khul jae to tanhai ka sahra dekhun
sham bhi ho gai dhundla gain aankhen bhi meri
bhulne wale main kab tak tera rasta dekhun
ek ek kar ke mujhe chhoD gain sab sakhiyan
aaj main KHud ko teri yaad mein tanha dekhun
kash sandal se meri mang ujale aa kar
itne ghairon mein wahi hath jo apna dekhun
tu mera kuchh nahin lagta hai magar jaan-e-hayat
jaane kyun tere liye dil ko dhDakna dekhun
band kar ke meri aankhen wo shararat se hanse
bujhe jaane ka main har roz tamasha dekhun
sab ziden us ki main puri karun har baat sunun
ek bachche ki tarah se use hansta dekhun
mujh pe chha jae wo barsat ki KHushbu ki tarah
ang ang apna isi rut mein mahakta dekhun
phul ki tarah mere jism ka har lab khul jae
pankhuDi pankhuDi un honTon ka saya dekhun
main ne jis lamhe ko puja hai use bas ek bar
KHwab ban kar teri aankhon mein utarta dekhun
tu meri tarah se yakta hai magar mere habib
ji mein aata hai koi aur bhi tujh sa dekhun
TuT jaen ki pighal jaen mere kachche ghaDe
tujh ko main dekhun ki ye aag ka dariya dekhun
Ghazal
Apni ruswai tere nam ka charcha dekhun
Parveen Shakir