apni KHabar, na us ka pata hai, ye ishq hai
jo tha, nahin hai, aur na tha, hai,, ye ishq hai
pahle jo tha, wo sirf tumhaari talash thi
lekin jo tum se mil ke hua hai, ye ishq hai
tashkik hai, na jang hai mabain-e-aql-o-dil
bas ye yaqin hai ki KHuda hai, ye ishq hai
behad KHushi hai, aur hai be-intiha sukun
ab dard hai, na gham, na gila hai, ye ishq hai
kya ramz jaanni hai tujhe asl-e-ishq ki?
jo tujh mein us badan ke siwa hai, ye ishq hai
shohrat se teri KHush jo bahut hai, ye hai KHirad
aur ye jo tujh mein tujh se KHafa hai, ye ishq hai
zer-e-qaba jo husn hai, wo husn hai KHuda
band-e-qaba jo khol raha hai, ye ishq hai
idrak ki kami hai samajhna ise maraz
is ki dua, na is ki dawa hai, ye ishq hai
shaffaf o saf, aur latafat mein be-misal
sara wajud aaina sa hai, ye ishq hai
yani ki kuchh bhi is ke siwa sujhta nahin?
han to janab, masala kya hai? ye ishq hai
jo aql se badan ko mili thi, wo thi hawas
jo ruh ko junun se mila hai, ye ishq hai
is mein nahin hai daKHl koi KHauf o hirs ka
is ki jaza, na is ki saza hai, ye ishq hai
sajde mein hai jo mahw-e-dua wo hai be-dili
ye jo dhamal Dal raha hai, ye ishq hai
hota agar kuchh aur to hota ana-parast
us ki raza shikast-e-ana hai, ye ishq hai
'irfan' manne mein tammul tujhe hi tha
main ne to ye hamesha kaha hai, ye ishq hai
Ghazal
Apni KHabar, na us ka pata hai, ye ishq hai
Irfan Sattar