اردو हिंदी
Apni jaulan-gah zer-e-asman samjha tha main | Shaahi Shayari
apni jaulan-gah zer-e-asman samjha tha main

Ghazal

Apni jaulan-gah zer-e-asman samjha tha main

Sayyad Zahiruddin Zaheer

;

apni jaulan-gah zer-e-asman samjha tha main
aab-o-gil ke khel ko apna jahan samjha tha main

jis dil-e-na-aqebat-andesh ne chhoDa tha sath
aise diwane ko mir-e-karwan samjha tha main

aankh band hote hi mujh par khul gaya raaz-e-hayat
zist ko duniya mein umr-e-jawedan samjha tha main

un ke qabze mein hai jannat un ke qabze mein hai nar
is talli ko hadis-e-digaran samjha tha main

mustaqil hai wo to barq-o-baad ka maskan 'zahir'
ye ghalat-fahmi thi jis ko aashiyan samjha tha main