apni hi sada sunun kahan tak
jangal ki hawa rahun kahan tak
har bar hawa na hogi dar par
har bar magar uThun kahan tak
dam ghaTta hai ghar mein habs wo hai
KHushbu ke liye rukun kahan tak
phir aa ke hawaen khol dengi
zaKHm apne rafu karun kahan tak
sahil pe samundaron se bach kar
main nam tera likhun kahan tak
tanhai ka ek ek lamha
hangamon se qarz lun kahan tak
gar lams nahin to lafz hi bhej
main tujh se juda rahun kahan tak
sukh se bhi to dosti kabhi ho
dukh se hi gale milun kahan tak
mansub ho har kiran kisi se
apne hi liye jalun kahan tak
aanchal mere bhar ke phaT rahe hain
phul us ke liye chunun kahan tak
Ghazal
Apni hi sada sunun kahan tak
Parveen Shakir