apni gumshudgi ki afwahen main phailata raha
jo bhi KHat aae bina khole hi lauTata raha
zehn ke jangal mein KHud ko yun bhi bhaTkata raha
uljhanen jo thin nahin un ko hi suljhata raha
muskurahaT ki bhi aaKHir asliyat khul hi gai
gham zamane se chhupane ka maza jata raha
aur rangin ho gai us ke tabassum ki dhanak
ishq ka suraj haya ki barf pighalta raha
mera chehra kho gaya chehron ke is bazar mein
jaane kya kya rup main duniya ko dikhlata raha
shahr ke chaurahe par pai thi us ne tarbiyat
umr bhar auron ke aage hath phailata raha

Ghazal
Apni gumshudgi ki afwahen main phailata raha
Subodh Lal Saqi