apni girah se kuchh na mujhe aap dijiye
aKHbar mein to nam mera chhap dijiye
dekho jise wo pioneer office mein hai DaTa
bahr-e-KHuda mujhe bhi kahin chhap dijiye
chashm-e-jahan se haalat-e-asli chhupi nahin
aKHbar mein jo chahiye wo chhap dijiye
dawa bahut baDa hai riyazi mein aap ko
tul-e-shab-e-firaq ko to nap dijiye
sunte nahin hain shaiKH nai raushni ki baat
engine ki un ke kan mein ab bhap dijiye
is but ke dar pe ghair se 'akbar' ne kah diya
zar hi main dene laya hun jaan aap dijiye
Ghazal
Apni girah se kuchh na mujhe aap dijiye
Akbar Allahabadi