apni duniya KHud ba-faiz-e-gham bana sakta hun main
ek jahan-e-shauq-e-na-mohkam bana sakta hun main
meri aankhon mein hain aansu tere daman mein bahaar
gul bana sakta hai tu shabnam bana sakta hun main
dil ke baje mein nahin malum kitne tar hain
husn ko ek tar ka mahram bana sakta hun main
phir haqiqat ki usi jannat ki jaanib lauT kar
bandagi ko laghzish-e-adam bana sakta hun main
hasil-e-ashk-e-nadamat kuchh nahin is ke siwa
hai jo daman tar usi ko nam bana sakta hun main
ishq hun mere liye pas-e-hudud-e-hosh kya
ho ke diwana bhi ek aalam bana sakta hun main
jis qadar aansu gire utna hi insan ho saka
zindagi shayad ba-qadr-e-gham bana sakta hun main
KHud-shanasi ki sharab-e-atishin bhar kar 'nushur'
kasa-e-muflis ko jam-e-jam bana sakta hun main
Ghazal
Apni duniya KHud ba-faiz-e-gham bana sakta hun main
Nushur Wahidi