apni dhup mein bhi kuchh jal
har saye ke sath na Dhal
lafzon ke phulon pe na ja
dekh saron par chalte hal
duniya barf ka tuda hai
jitna jal sakta hai jal
gham ki nahin aawaz koi
kaghaz kale karta chal
ban ke lakiren ubhre hain
mathe par rahon ke bal
main ne tera sath diya
mere munh par kalak mal
aas ke phul khile 'baqi'
dil se guzra phir baadal
Ghazal
Apni dhup mein bhi kuchh jal
Baqi Siddiqui